Friday, January 29, 2010

Ujaalon ki or



Ujaalon ki or, badho sajnaa
Dil ki raho me, badho sajnaa
Haath me liye sachhai ki deepak
Andheron se dur, chalo sajnaa...

Chalo sajnaa, usi raha par
Jahan dhoop ho, chhayaa bhi ho
Jahan meet ho, jahan preet ho
Jahan geet ho, gungunate chalo
Chalo sajnaa, us mod taq
Jo aaye to bas, to hi jeet ho
Jahan sur aur saaz eksaath chale
Sargam hi naa ho, sangeet bhi ho...

Andheron se tum ghabrana nahi
Andherein to pag pag saath chalein
Apni shraddha rakkho ujaalon ki or
Aur chalte raho, jahan dil le chale...

Badho sajnaa, usi path par
Jahan kaatein ho, phool bhi ho
Sirf moti na ho, sirf manzil na ho
Jahan badalon si garm dhool bhi ho
Badho sajnaa, dil ki raho pe tum
Roshni ka jahan ek jhalak bhi dikhe
In andheron se dur badhte jaao
Jahan chaaro taraf ujaalaa hi ho...

2 comments:

  1. real good.. the poem gave me loads of hope, faith and the courage to carry on. thanks..

    ReplyDelete
  2. this is wt i want to say to my mate right now nd moreovr i want it to be followed :)

    ReplyDelete

Thanks for reading me and choosing to comment. Your comment always encourages me to write more and write sense. Keep visiting, whenever you can and comment on the posts. I will be more than eager to receive your comments and suggestions.

Warm Regards,
Tan :)

PS: Please visit my other blog: Thus Spake Tan!